Zulfiqar Aadil

baDi mushkil kahani thi magar anjam sada hai

Zulfiqar Aadil

1972
baḌī mushkil kahānī thī magar anjām saada hai
ki ab us shaḳhs kā ham se bichhaḌne kā irāda hai
aur is ke ba.ad ik aise hī lamhe tak hai ḳhāmoshī
hameñ dar-pesh phir se lamha-e-tajdīd-e-va.ada hai
suno raste meñ ik jaltā huā sahrā bhī aa.egā
kaho kab tak hamāre saath chalne kā irāda hai
hameñ āsāniyoñ se pyaar thā aur log kahte the
agar manzil se haT jaa.eñ to har rasta kushāda hai
sitāra-dar-sitāra TūTtā hai āsmāñ to bhī
tire qisse meñ bhī merī kahānī kā i.aada hai
maiñ huuñ nā-mo'tabar manzil kī ḳhātir mo'tabar rah par
vajūd-e-ḳhvāhish-e-jāñ par duāoñ kā libāda hai
kuchh aisī shiddatoñ se ham guzar kar aa.e haiñ 'ādil'
hameñ terī zarūrat bhī zarūrat se ziyāda hai
Top Urdushayar.com