Zulfiqar Aadil

so lene do apna apna kaam karo chup ho jao

Zulfiqar Aadil

1972

so lene do apnā apnā kaam karo chup ho jaao

darvāzo kuchh vaqt guzāro dīvāro chup ho jaao

kis kashtī umr hai kitnī mallāhoñ se pūchhne do

tum se bhī pūchheñge ik din dariyāo chup ho jaao

dekh liyā āḳhir miTTī miTTī meñ mil jaatī hai

ḳhāmoshī se apnā apnā hissa lo chup ho jaao

is vīrān-sarā mālik ek purānī ḳhāmoshī

āvāzeñ detī rahtī hai mehmāno! chup ho jaao

aisā lagtā hai ham apnī manzil par aa pahuñche haiñ

duur kahīñ ye rone āvāz suno chup ho jaao

ḳhud ko sābit karne se bhī baḌh jaatī hai tanhā.ī

kaun girheñ khol rahe ho sehr-garo chup ho jaao

peḌ purānā ho jaatā hai na.e parinde aane se

baat adhūrī rahtī hai kuchh bhī kaho chup ho jaao

Top Urdushayar.com