nizām-e-bast-o-kushād-e-mānī  sañvārte  haiñ
ham  apne  sheroñ  meñ  terā  paikar  utārte  haiñ
ajab  tilismī  fizā  hai  saarī  balā.eñ  chup  haiñ
ye  kis  bayābāñ  meñ  raat  din  ham  guzārte  haiñ
ġhubār-e-duniyā  meñ  gum  hai  jab  se  savār-e-vahshat
atash  atash  dasht  o  koh  o  dariyā  pukārte  haiñ
musāfirān-e-gumāñ  raheñ  kyuuñ  kamar-ḳhamīda
chalo  ye  pushtāra-e-tamannā  utārte  haiñ
jabīn-e-ahl-e-ġharaz  pe  koī  mukālima  kyā
jahāñ  tahāñ  hājatoñ  kī  jholī  pasārte  haiñ