dasht-e-balā-e-shauq  meñ  ḳheme  lagā.e  haiñ
ibn-e-ziyād-e-vaqt  se  kah  do  ham  aa.e  haiñ
ik  kahkashāñ  hī  tanhā  nahīñ  vaj.h-e-dil-kashī
āñchal  pe  tere  ham  ne  bhī  motī  luTā.e  haiñ
tah  kar  chuke  bisāt-e-ġham-o-fikr-e-rozgār
tab  ḳhānqāh-e-ishq-o-mohabbat  meñ  aa.e  haiñ
tum  hī  nahīñ  ilāj-e-mohabbat  se  be-niyāz
ham  ne  bhī  ehtiyāt  ke  purze  uḌaa.e  haiñ
lagtā  yahī  hai  nuur  ke  rath  par  savār  huuñ
āñkhoñ  ne  terī  mujh  ko  vo  raste  sujhā.e  haiñ
vahshat-sarā-e-dahr  meñ  bhī  shād-kām  haiñ
'sāqib'  ye  log  kaun  se  jañgal  se  aa.e  haiñ