Amir Hamza Saqib

badan ke luqma-e-tar ko haram kar liya hai

Amir Hamza Saqib

Mumbai, Maharashtra, India

1971
badan ke luqma-e-tar ko harām kar liyā hai
ki ḳhvān-e-rūh pe jab se ta.aam kar liyā hai
batāo uḌtī hai bāzār-e-jāñ meñ ḳhaak bahut
batāo kyā hameñ apnā ġhulām kar liyā hai
ye āstāna-e-hasrat hai ham bhī jānte haiñ
diyā jalā diyā hai aur salām kar liyā hai
makāñ ujaaḌ thā aur lā-makāñ kī ḳhvāhish thī
so apne aap se bāhar qayām kar liyā hai
bas ab tamām ho ye vahm o e'tibār kā khel
bisāt ulaT dī sabhī saarā kaam kar liyā hai
kisī se ḳhvāhish-e-guftār thī magar 'sāqib'
vufūr-e-shauq meñ ḳhud se kalām kar liyā hai
Top Urdushayar.com