badan  ke  luqma-e-tar  ko  harām  kar  liyā  hai
ki  ḳhvān-e-rūh  pe  jab  se  ta.aam  kar  liyā  hai
batāo  uḌtī  hai  bāzār-e-jāñ  meñ  ḳhaak  bahut
batāo  kyā  hameñ  apnā  ġhulām  kar  liyā  hai
ye  āstāna-e-hasrat  hai  ham  bhī  jānte  haiñ
diyā  jalā  diyā  hai  aur  salām  kar  liyā  hai
makāñ  ujaaḌ  thā  aur  lā-makāñ  kī  ḳhvāhish  thī
so  apne  aap  se  bāhar  qayām  kar  liyā  hai
bas  ab  tamām  ho  ye  vahm  o  e'tibār  kā  khel
bisāt  ulaT  dī  sabhī  saarā  kaam  kar  liyā  hai
kisī  se  ḳhvāhish-e-guftār  thī  magar  'sāqib'
vufūr-e-shauq  meñ  ḳhud  se  kalām  kar  liyā  hai