is  dasht  pe  ehsāñ  na  kar  ai  abr-e-ravāñ  aur
jab  aag  ho  nam-ḳhurda  to  uThtā  hai  dhuāñ  aur
vo  qahat-e-junūñ  hai  ki  koī  chaak  garebāñ
aatā  hai  nazar  bhī  to  guzartā  hai  gumāñ  aur
ye  sañg-zanī  mere  liye  bārish-e-gul  hai
thak  jaao  to  kuchh  sañg  ba-dast-e-digrāñ  aur
sūraj  ko  ye  ġham  hai  ki  samundar  bhī  hai  pāyāb
yā  rab  mire  qulzum  meñ  koī  sail-e-ravāñ  aur
'shā.ir'  ye  zamīñ  hazrat-e-ġhālib  kī  zamīñ  hai
har  sher  talab  kartā  hai  ḳhūn-e-rag-e-jāñ  aur