ye  shahr-e-rafīqāñ  hai  dil-e-zār  sambhal  ke
milte  haiñ  yahāñ  log  bahut  ruup  badal  ke
aariz  haiñ  ki  murjhā.e  hue  phuul  kañval  ke
āñkheñ  haiñ  ki  jhulse  hue  ḳhvāboñ  ke  mahal  ke
chehra  hai  ki  hai  ā.īna-e-gardish-e-daurāñ
shahkār  haiñ  kyā  kyā  mire  naqqāsh-e-azal  ke
farhād  sar-e-dār  hai  shīrīñ  sar-e-bāzār
badle  nahīñ  ab  tak  magar  andāz  ġhazal  ke
aa.e  haiñ  ġham-e-ishq  meñ  aise  bhī  maqāmāt
dil  ḳhuun  huā  aañkh  se  aañsū  bhī  na  Dhalke
duniyā  bhī  ik  āmāj-gah-e-husn  hai  'shā.ir'
dekho  to  zarā  hajla-e-jānāñ  se  nikal  ke