Himayat Ali Shayar

ab batao jaegi zindagi kahan yaro

Himayat Ali Shayar

1926-2019

ab batāo jā.egī zindagī kahāñ yaaro

phir haiñ barq nazreñ sū-e-āshiyāñ yaaro

ab na koī manzil hai aur na rahguzar koī

jaane qāfila bhaTke ab kahāñ kahāñ yaaro

phuul haiñ ki lāsheñ haiñ baaġh hai ki maqtal hai

shāḳh shāḳh hotā hai daar gumāñ yaaro

maut se guzar kar ye kaisī zindagī paa.ī

fikr pā-ba-jaulāñ hai guñg hai zabāñ yaaro

turbatoñ sham.eñ haiñ aur gahrī ḳhāmoshī

rahe the kis jānib aa ga.e kahāñ yaaro

rāhzan ke baare meñ aur kyā kahūñ khul kar

mīr-e-kārvāñ yaaro mīr-e-kārvāñ yaaro

sirf zinda rahne ko zindagī nahīñ kahte

kuchh ġham-e-mohabbat ho kuchh ġham-e-jahāñ yaaro

vaqt taqāzā to aur bhī hai kuchh lekin

kuchh nahīñ to ho jaao mere ham-zabāñ yaaro

ek maiñ huuñ jis ko tum mānte nahīñ 'shā.ir'

aur ek maiñ huuñ tum meñ nukta-dāñ yaaro

Top Urdushayar.com