Himayat Ali Shayar

pindar-e-zohd ho ki ghurur-e-barhamani

Himayat Ali Shayar

1926-2019

pindār-e-zohd ho ki ġhurūr-e-barhamanī

is dair-e-but-shikan meñ hai har but shikastnī

sarsar chale ki tund bagūloñ raqs ho

mauj-e-numū ravāñ hai to har gul shaguftanī

gul-chīn-o-gul-farosh ḳhātir hai fasl-e-gul

aur qismat-e-junūñ hai faqat chāk-dāmanī

dīvār-e-abr khīñchiye kirnoñ raah meñ

zarroñ meñ qaid kījiye sūraj raushnī

mauj-e-nafas se larze hai tār-e-rag-e-hayāt

phailī hai shahr-e-dil meñ vo pur-haul sansanī

Top Urdushayar.com