hamārī  āzmā.ish  kā  agar  kuchh  ġham  nahīñ  hogā
to  phir  ye  silsila-dar-silsila  bhī  kam  nahīñ  hogā
zamāna  kaise  samjhegā  ki  ham  par  vajd  hai  taarī
surūr-o-kaif-o-mastī  kā  agar  aalam  nahīñ  hogā
uTho  phir  aa  rahe  haiñ  sab  tumheñ  lalkārne  vaale
kisī  ke  haath  meñ  bhī  amn  kā  parcham  nahīñ  hogā
ye  mumkin  kis  tarah  hogā  ki  apne  shahr  meñ  logo
ḳhafā  koī  nahīñ  hogā  koī  barham  nahīñ  hogā
hamāre  paas  aa.e  shauq  se  'ansār'  vo  lekin
mohabbat  kī  koī  rut  pyaar  kā  mausam  nahīñ  hogā