jaan  dete  haiñ  magar  iz.hār  ham  karte  nahīñ
ya.anī  tash.hīr-e-salīb-o-dār  ham  karte  nahīñ
apne  dushman  ko  bhī  lalkāreñge  aa  kar  sāmne
pusht  se  chūñki  kisī  par  vaar  ham  karte  nahīñ
ho  rahā  hai  har  taraf  turfa  tamāsha  roz-o-shab
umr  ko  ab  bar-sar-e-paikār  ham  karte  nahīñ
jab  tumhāre  shahr  kā  har  zarra  zarra  hai  aziiz
kaun  kahtā  hai  ki  tum  se  pyaar  ham  karte  nahīñ
hai  zamāna  kuchh  zamāne  kī  ravish  kuchh  aur  hai
ḳhud  ko  rusvā  yuuñ  sar-e-bāzār  ham  karte  nahīñ
naam  kī  apne  tamannā  yā  sile  kī  aarzū
log  karte  haiñ  magar  'ansār'  ham  karte  nahīñ