rañg  badlā  hai  ka.ī  din  se  mizāj-e-yār  kā
joḌ  shāyad  chal  gayā  phir  aaj  kal  aġhyār  kā
kas  qadar  paayā  savedā-e-dil-e-āshiq  ne  auj
rafta  rafta  til  banā  āḳhir  tire  ruḳhsār  kā
ab  to  aa  kar  dekh  jaanā  chāhiye  tujh  ko  zarūr
haal  hai  nau-e-digar  iisā  tire  bīmār  kā
be-ḳhudī  meñ  zaḳhm-e-dil  par  jabki  paḌtī  hai  nazar
hotā  hai  dhokā  tumhāre  rauzan-e-dīvār  kā
hāl-e-dard-e-dil  bayāñ  kis  se  karūñ  maiñ  bad-nasīb
tū  hī  jab  pursāñ  na  ho  le  mere  hāl-e-zār  kā
baat  karnā  ho  gayā  mushkil  butoñ  ke  sāmne
paḌ  gayā  phandā  gale  meñ  rishta-e-zunnār  kā
ho  gayā  huuñ  nā-tavāñ  aisā  tumhāre  hijr  meñ
toḌnā  mushkil  huā  hai  āñsuoñ  ke  taar  kā
ik  faqat  tere  kashīda  hone  se  ye  haal  hai
bhāgtā  hai  saaya  tak  mujh  se  tirī  dīvār  kā
nā-tavāñ  aisā  huuñ  pis  kar  ḳhaak  ho  jā.ūñ  abhī
saaya  paḌ  jaa.e  agar  mujh  par  tirī  dīvār  kā
ab  to  sūrat  apnī  dikhlāo  ḳhudā  ke  vāste
dam  nikaltā  hai  tumhāre  tālib-e-dīdār  kā
apnī  kam-fahmī  se  'anjum'  ham  nihāyat  tañg  haiñ
zehn  meñ  aatā  nahīñ  mazmūñ  dahān-e-yār  kā