Mirza Asman Jah Anjum

aaj mehndi lagae baiThe hain

Mirza Asman Jah Anjum

aaj mehñdī lagā.e baiThe haiñ
ḳhuub vo rañg laa.e baiThe haiñ
mere aate hī ho ga.e barham
kuchh kasī ke sikhā.e baiThe haiñ
teġh khīñchī hai qatl par mere
haath mujh se uThā.e baiThe haiñ
maiñ shikāyat jafā kī kartā huuñ
chupke vo sar jhukā.e baiThe haiñ
dum churā.e hue paḌe haiñ ham
vo jo bālīñ pe aa.e baiThe haiñ
imtihāñ ko kahā to bole vo
ham tumheñ āzmā.e baiThe haiñ
kas ko nazroñ se aaj utāreñge
kyuuñ vo tevarī chaḌhā.e baiThe haiñ
dekhiye kab vo sham.a-rū aa.e
shaam se lau lagā.e baiThe haiñ
Tālnā vasl kā jo hai manzūr
ḳhud se ḳhud muñh thūthā.e baiThe haiñ
sāda-pan meñ hazār jauban hai
baal khole nahā.e baiThe haiñ
kaun pahlū se uTh gayā 'anjum'
aap kyuuñ dil dabā.e baiThe haiñ
Top Urdushayar.com