ba-tarz-e-dilbarī  be-dād  kiije
jafāoñ  meñ  adā  ījād  kiije
hamārī  ājizī  e.ajāz  ho  jaa.e
payambar  huuñ  agar  āzād  kiije
ye  kaisā  ālam-e-bālā  kā  jhagḌā
ajī  pahlū  mirā  ābād  kiije
lahū  mal  kar  shahīdoñ  meñ  mile  haiñ
hamāre  naam  par  bhī  saad  kiije
tamannā  baḌh  na  jaa.e  had  se  zaa.ed
hameñ  shāh-e-najaf  ab  yaad  kiije
hamārī  ḳhaak  se  sahrā  bhare  haiñ
jahāñ  tak  chāhiye  barbād  kiije
ishāroñ  ne  to  le  lī  jaan  sāhib
zarā  muñh  se  bhī  kuchh  irshād  kiije
pareshān  hai  bahut  'anjum'  ḳhudārā
shahīd-e-karbalā  imdād  kiije
mizāj-e-yār  ho  jaa.e  na  barham
na  ai  'anjum'  bahut  fariyād  kiije