bā.is-e-tark-e-mulāqāt  batāo  to  sahī
chāhne  vaalā  koī  ham  sā  dikhāo  to  sahī
kaisī  hotī  hai  mohabbat  nahīñ  ma.alūm  tumheñ
ek  do  din  kahīñ  dil  tum  bhī  lagāo  to  sahī
bevafā.ī  kī  hai  tohmat  chalo  maanā  ham  ne
haañ  bhalā  ham  se  zarā  aañkh  milāo  to  sahī
jaan  de  dūñgā  magar  tum  ko  na  jaane  dūñgā
uTh  ke  pahlū  se  bhalā  tum  mire  jaao  to  sahī
nahīñ  milne  kī  jo  marzī  hai  na  milnā  ham  se
baat  karnā  ki  na  karnā  magar  aao  to  sahī
dekh  lo  jiite  haiñ  yā  marte  haiñ  mushtāq  sadā
apnī  āvāz  zarā  un  ko  sunāo  to  sahī
har  tarah  bigḌe  hue  baiThe  haiñ  jaane  ke  liye
'āsmāñ'  aaj  koī  baat  banāo  to  sahī