Mirza Asman Jah Anjum

humse na hogi tark-e-wafa ye aur kisi ko sunaen aap

Mirza Asman Jah Anjum

ham se na hogī tark-e-vafā ye aur kisī ko sunā.eñ aap

ham na suneñge hazrat-e-nāseh laakh hameñ samjhā.eñ aap

sharm-o-hayā ke parde meñ karte the ham pe jafā.eñ aap

aap ko ham pahchān ga.e muñh āñchal se na chhupā.eñ aap

zulf tere in se koī mazmūñ jo raqam ho jaatā hai

fart-e-ḳhushī se le letā huuñ hāthoñ apne bulā.eñ aap

vāh-jī bas dekh liyā kyā vaz.a hai yahī pābandī

kahte is ko haiñ sharm-o-hayā ham jaañ se jaa.eñ na aa.eñ aap

sun chuke hāl-e-pursish-e-mahshar va.az 'anjum' had bhī hai

ye to nahīñ hai hukm-e-ḳhudā roz ek qayāmat Dhā.eñ aap

Top Urdushayar.com