Mirza Asman Jah Anjum

umid-e-mehr par ek hasrat-e-dil hum bhi rakhte the

Mirza Asman Jah Anjum

umīd-e-mehr par ik hasrat-e-dil ham bhī rakhte the
tamannā vasl kī ai māh-e-kāmil ham bhī rakhte the
kabhī gulzār dāġh-e-ishq se dil ham bhī rakhte hai
kabhī ik taaza gulshan ai anādil ham bhī rakhte the
kisī din to vo bahr-e-husn aa kar zeb-bar hotā
ki āġhosh-e-tamannā shakl-e-sāhil ham bhī rakhte the
alag tū bazm se uTh kar jo sun letā to kah dete
ki kuchh kuchh iltijā ai zeb-e-mahfil ham bhī rakhte the
hameñ be-maut kyuuñ maarā ajal tū kis liye aa.ī
havā-e-bosa-e-shamshīr-e-qātil ham bhī rakhte the
hamāre dil kā uqda kyuuñ na ai ġhuncha-dahan kholā
havas bose kī thī thoḌī sī mushkil ham bhī rakhte the
kareñ ab kyā kahāñ DhūñDheñ gañvāyā kū-e-gesū meñ
kabhī yādash-ba-ḳhair ai hamdamo dil ham bhī rakhte the
hamārā imtihāñ o qadar-andāz lāzim thā
dil-e-majrūh-o-muztar jān-e-bismil ham bhī rakhte the
kiyā pāmāl us ko kyuuñ na tum ne saath sabze ke
tumhāre zer-e-pā ai jān-e-jāñ dil ham bhī rakhte the
nahīñ ab kasrat-e-dāġh-e-junūñ se lā.eq-e-hadiya
kabhī dil peshkash karne ke qābil ham bhī rakhte the
haqārat se na dekho aaj ham ko ai parī-rūyo
kabhī tum sā koī zohra-shamā.il ham bhī rakhte the
ajab hai kyā huī ulfat vo ai jaañ donoñ jānib kī
yahī dil tum bhī rakhte the yahī dil ham bhī rakhte the
yūñhī shab bhar jalā karte the yād-e-sho.ala-e-ruḳh meñ
yahī sozish kabhī ai sham-e-mahfil ham bhī rakhte the
lab-e-jāñ-baḳhsh par kyā fauq dete chashm-e-fattāñ ko
ki 'anjum' kuchh tamīz-e-haqq-o-bātil ham bhī rakhte the
Top Urdushayar.com