umīd-e-mehr  par  ik  hasrat-e-dil  ham  bhī  rakhte  the
tamannā  vasl  kī  ai  māh-e-kāmil  ham  bhī  rakhte  the
kabhī  gulzār  dāġh-e-ishq  se  dil  ham  bhī  rakhte  hai
kabhī  ik  taaza  gulshan  ai  anādil  ham  bhī  rakhte  the
kisī  din  to  vo  bahr-e-husn  aa  kar  zeb-bar  hotā
ki  āġhosh-e-tamannā  shakl-e-sāhil  ham  bhī  rakhte  the
alag  tū  bazm  se  uTh  kar  jo  sun  letā  to  kah  dete
ki  kuchh  kuchh  iltijā  ai  zeb-e-mahfil  ham  bhī  rakhte  the
hameñ  be-maut  kyuuñ  maarā  ajal  tū  kis  liye  aa.ī
havā-e-bosa-e-shamshīr-e-qātil  ham  bhī  rakhte  the
hamāre  dil  kā  uqda  kyuuñ  na  ai  ġhuncha-dahan  kholā
havas  bose  kī  thī  thoḌī  sī  mushkil  ham  bhī  rakhte  the
kareñ  ab  kyā  kahāñ  DhūñDheñ  gañvāyā  kū-e-gesū  meñ
kabhī  yādash-ba-ḳhair  ai  hamdamo  dil  ham  bhī  rakhte  the
hamārā  imtihāñ  o  qadar-andāz  lāzim  thā
dil-e-majrūh-o-muztar  jān-e-bismil  ham  bhī  rakhte  the
kiyā  pāmāl  us  ko  kyuuñ  na  tum  ne  saath  sabze  ke
tumhāre  zer-e-pā  ai  jān-e-jāñ  dil  ham  bhī  rakhte  the
nahīñ  ab  kasrat-e-dāġh-e-junūñ  se  lā.eq-e-hadiya
kabhī  dil  peshkash  karne  ke  qābil  ham  bhī  rakhte  the
haqārat  se  na  dekho  aaj  ham  ko  ai  parī-rūyo
kabhī  tum  sā  koī  zohra-shamā.il  ham  bhī  rakhte  the
ajab  hai  kyā  huī  ulfat  vo  ai  jaañ  donoñ  jānib  kī
yahī  dil  tum  bhī  rakhte  the  yahī  dil  ham  bhī  rakhte  the
yūñhī  shab  bhar  jalā  karte  the  yād-e-sho.ala-e-ruḳh  meñ
yahī  sozish  kabhī  ai  sham-e-mahfil  ham  bhī  rakhte  the
lab-e-jāñ-baḳhsh  par  kyā  fauq  dete  chashm-e-fattāñ  ko
ki  'anjum'  kuchh  tamīz-e-haqq-o-bātil  ham  bhī  rakhte  the