Mirza Asman Jah Anjum

mere jaanib se use ja ja ke samjhate hain log

Mirza Asman Jah Anjum

mere jānib se use jā jā ke samjhāte haiñ log
vo nahīñ sunñe kā zid be-kār dilvāte haiñ log
shola-ḳhū merā sune mujh dil-jale kā haal kyuuñ
aag meñ aag aur bhī nāhaq lagā aate haiñ log
mere marne par unheñ kyuuñ rashk se pūchho koī
kyuuñ sar-e-bālīñ mire be-kār chillāte haiñ log
koī kahtā hai tujhe jallād koī sañg-dil
terī jānib se mujhe aa aa ke dhamkāte haiñ log
maiñ na jiitā huuñ na martā huuñ sisaktā huuñ paḌā
jhuuT sach qasmeñ tumhāre sāmne khāte haiñ log
dostī ke parde meñ karte haiñ mujh se dushmanī
tum ko phir aglī jafā.eñ yaad dilvāte haiñ log
terī mahfil meñ mirā aanā jo un ko baar hai
chheḌ kar tujh ko mujhe bāteñ hī sunvāte haiñ log
tum se aur va.ada vafā ho ye hameñ bāvar nahīñ
qasmeñ de kar tum ko nāhaq jhuuT bulvāte haiñ log
baaz aayā āsmāñ in kī havā-ḳhvāhī se maiñ
aag dil kī aur bhī aa aa ke bhaḌkāte haiñ log
Top Urdushayar.com