mere  jānib  se  use  jā  jā  ke  samjhāte  haiñ  log
vo  nahīñ  sunñe  kā  zid  be-kār  dilvāte  haiñ  log
shola-ḳhū  merā  sune  mujh  dil-jale  kā  haal  kyuuñ
aag  meñ  aag  aur  bhī  nāhaq  lagā  aate  haiñ  log
mere  marne  par  unheñ  kyuuñ  rashk  se  pūchho  koī
kyuuñ  sar-e-bālīñ  mire  be-kār  chillāte  haiñ  log
koī  kahtā  hai  tujhe  jallād  koī  sañg-dil
terī  jānib  se  mujhe  aa  aa  ke  dhamkāte  haiñ  log
maiñ  na  jiitā  huuñ  na  martā  huuñ  sisaktā  huuñ  paḌā
jhuuT  sach  qasmeñ  tumhāre  sāmne  khāte  haiñ  log
dostī  ke  parde  meñ  karte  haiñ  mujh  se  dushmanī
tum  ko  phir  aglī  jafā.eñ  yaad  dilvāte  haiñ  log
terī  mahfil  meñ  mirā  aanā  jo  un  ko  baar  hai
chheḌ  kar  tujh  ko  mujhe  bāteñ  hī  sunvāte  haiñ  log
tum  se  aur  va.ada  vafā  ho  ye  hameñ  bāvar  nahīñ
qasmeñ  de  kar  tum  ko  nāhaq  jhuuT  bulvāte  haiñ  log
baaz  aayā  āsmāñ  in  kī  havā-ḳhvāhī  se  maiñ
aag  dil  kī  aur  bhī  aa  aa  ke  bhaḌkāte  haiñ  log