Mirza Asman Jah Anjum

lagi hai misi pan khae hue hain

Mirza Asman Jah Anjum

lagī hai misī paan khaa.e hue haiñ
sunāne pe beḌā uThā.e hue haiñ
ġhazab hai hasīnoñ se dil kā lagānā
ye aafat ke putle banā.e hue haiñ
mire ḳhat ko phāḌā raqīboñ ke aage
kisī kī vo paTTī paḌhā.e hue haiñ
ulajhne se bāloñ ke bigḌo na sāhib
tumhāre hī ye sar chaḌhā.e hue haiñ
kaleja hathelī pe rakh luuñ to jā.ūñ
vo hāthoñ meñ mehñdī lagā.e hue haiñ
shab-e-hijr jab ḳhvāb dekhā ye dekhā
ki tujh ko gale se lagā.e hue haiñ
tirī teġh kī aab jaatī rahī hai
mire zaḳhm paanī churā.e hue haiñ
jidhar dekhtā huuñ unheñ kā hai jalva
vo nazroñ meñ aise samā.e hue haiñ
utāreñge kis kis ko nazroñ se 'anjum'
vo kyuuñ aaj tevarī chaḌhā.e hue haiñ
Top Urdushayar.com