Mirza Asman Jah Anjum

yun to in aankhon se humne o but kahne ko duniya dekhi

Mirza Asman Jah Anjum

yuuñ to in āñkhoñ se ham ne o but kahne ko duniyā dekhī

lekin saarī ḳhudā.ī bhar terī sūrat-e-yaktā dekhī

khel ga.e kyuuñ jaañ pe 'anjum' tum ne abhī kyā duniyā dekhī

marne lage ḳhūbān-e-jahāñ par terī merī dekhā-dekhī

dard-e-jigar kam thā ki nahīñ thā ye to batā dam thā ki nahīñ thā

kah to marīz meñ kuchh bhī dekhā nabz jo ne masīhā dekhī

us ko bhalā kyūñkar chain aayā dil ko kyā kah kar samjhāyā

sūrat terī jis ne sitam-gar thaam ke apnā kalejā dekhī

vasl shab barham rahā vo tā-ba-sahar uljhā kiyā vo

bal na gayā abrū se us zulf bhī ham ne suljhā dekhī

vāh-re-vā ai nāla-e-sozāñ dekh terī ThanDī garmī

dil na pasījā us kāfir aag bhī ne bhaḌkā dekhī

us ke dil se ga.ī na kudūrat dil dil meñ rah ga.ī hasrat

ham ne jhaḌī ashkoñ barsoñ in āñkhoñ se barsā dekhī

ek zarā se hashr pe vaa.iz us ko Darātā allāh allāh

jis ne butoñ galī meñ barsoñ roz-e-qayāmat barpā dekhī

jaisī ziist hamārī guzrī dushman bhī yuuñ na basar ho

'anjum' hazrat-e-dil badaulat ham ne musībat kyā kyā dekhī

Top Urdushayar.com