Hanif Tarin

gardish ki raqabat se jhagDe ke liye tha

Hanif Tarin

Sambhal, Uttar pradesh, India

1951

gardish raqābat se jhagḌe ke liye thā

jo ahd mirā titlī pakaḌne ke liye thā

jis ke liye sadiyāñ ka.ī tāvān meñ haiñ

vo lamha to miTTī meñ jakaḌne ke liye thā

hālāt ne jaan ke jab dast-darāzī

har sulh pahlū jhagaḌne ke liye thā

muñh zoriyāñ kyuuñ mujh se sazā-vār thiiñ us ko

phailāo jahāñ us sukaḌne ke liye thā

qurbān thiiñ bālīdgiyāñ naḳhl-e-talab par

kyā josh-e-numū aap ukhaḌne ke liye thā

paanī ne jise dhuup miTTī se banāyā

vo dā.era-e-rabt bigaḌne ke liye thā

Top Urdushayar.com