Sajjad Baqar Rizvi

rahon ke unch-nich zara dekh-bhaal ke

Sajjad Baqar Rizvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1928-1993
rāhoñ ke ūñch-nīch zarā dekh-bhāl ke
haañ rahrav-e-murād qadam rakh sambhāl ke
fitnoñ ko dekh apne qadam rok baiTh jā
rāteñ ye āfatoñ kī haiñ ye din vabāl ke
maiñ sargirāñ thā hijr kī rātoñ ke qarz se
māyūs ho ke lauT ga.e din visāl ke
kuchh ye na thā ki maiñ ne na samjhī bisāt-e-dahr
maiñ ḳhud hī khel haar gayā dekh-bhāl ke
sāmān-e-dil ko be-sar-o-sāmāniyāñ milīñ
kuchh aur bhī javāb the mere savāl ke
lamhoñ kī lai pe guzrī haiñ rāteñ nashāt kī
kis dhun meñ din kaTeñge ye ranj o malāl ke
taḳhlīq hai mirī tirī taḳhlīq se alag
maiñ bhī banātā rahtā huuñ paikar ḳhayāl ke
pyāsī zamīn-e-dil hai paḌā qaht-e-fasl-e-shauq
haañ ai havā kidhar ga.e din barshgāl ke
'bāqar' ye daañt biich zabāñ band kyuuñ huī
qaa.el to aap bhī the bahut qīl-o-qāl ke
Top Urdushayar.com