Sajjad Baqar Rizvi

be-dili wo hai ki marne ki tamanna bhi nahin

Sajjad Baqar Rizvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1928-1993
be-dilī vo hai ki marne kī tamannā bhī nahīñ
aur jī leñ kisī ummīd pe aisā bhī nahīñ
na koī sar ko hai saudā na koī sañg se laag
koī pūchhe to kuchh aisā ġham-e-duniyā bhī nahīñ
vaqt vo hai ki jabīñ le ke karo dar kī talāsh
ajab āshufta-sarī hai ki tamāshā bhī nahīñ
apne ā.īne meñ ḳhud apnī hī sūrat huī masḳh
magar is TuuTe hue dil kā mudāvā bhī nahīñ
hū kā aalam hai koī nāra-e-mastāna-e-haq
kyā tirī bazm-e-vafā meñ koī itnā bhī nahīñ
lafz-o-ma.anī meñ nahīñ rabt magar haa.e umiid
is pe baiThe haiñ ki vo Tālne vaalā bhī nahīñ
be-ḳhudī haa.e tamannā kī na thī fursat-e-vahm
be-kasī haa.e tamāshā ki koī thā bhī nahīñ
phuul ban kar jo mahaktā thā kabhī dil ke qarīb
ḳhaar ban kar kabhī pahlū meñ khaTaktā bhī nahīñ
tum bhī kahlāte ho dāman-kash-e-duniyā 'bāqar'
sach to ye hai tumheñ jiine kā salīqa bhī nahīñ
Top Urdushayar.com