Sajjad Baqar Rizvi

hazar shukr kabhi tera aasra na gaya

Sajjad Baqar Rizvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1928-1993
hazār shukr kabhī terā aasrā na gayā
magar ye hai dil-e-ādam ki vasvasa na gayā
vo jab ki ziist bhī ik fan thī vo zamāna gayā
ab ek chīḳh ki andāz-e-shā.irāna gayā
bahut hī shor thā ahal junūñ kā par ab ke
ḳhirad se aa ke koī zor aazmā na gayā
chalī hai ab ke baras vo havā-e-shiddat-e-barf
dayār-e-dil kī taraf koī qāfila na gayā
bahut hī sastī hai bāzār-e-jāñ meñ jins-e-vafā
are ye qaht-talab dil kā kārḳhāna gayā
maiñ toḌ toḌ ke ḳhud ko banātā rahtā huuñ
ab ek umr huī phir bhī bachpanā na gayā
bas ek ghūñT mohabbat kā pī ke pachhtā.e
tamām umr vo ik talḳh zā.iqa na gayā
kabhī bikhar ga.e bātoñ meñ misl-e-nig.hat-e-gul
kabhī kalī kī tarah muñh se kuchh kahā na gayā
gumān ye thā ki bas do-qadam hai us kī galī
qadam uThe to yahī do-qadam chalā na gayā
maiñ ek barg-e-ḳhizāñ-dīda huuñ zamīn kā bojh
havā-e-dahr tire dosh par uḌā na gayā
ba-rañg-e-gul rahe ham bhī mizāj-dān-e-bahār
bas ek baar hañse phir kabhī hañsā na gayā
ab aao din kī kahānī likheñ koī 'bāqar'
ki raat ḳhatm huī raat kā fasāna gayā
Top Urdushayar.com