Naji Shakir

dekh mohan teri kamar ki taraf

Naji Shakir

1690-1744

dekh mohan tirī kamar taraf

phir gayā maanī apne ghar taraf

jin ne dekhe tire lab-e-shīrīñ

nazar us nahīñ shakar taraf

hai muhāl un daam meñ aanā

dil hai maa.il butāñ zar taraf

tere ruḳhsār safā.ī dekh

chashm daanā na.iiñ guhar taraf

haiñ ḳhushāmad-talab sab ahl-e-duval

ġhaur karte na.iiñ hunar taraf

māh-rū ne safar kiyā hai jidhar

dil mirā hai usī nagar taraf

hashr meñ pāk-bāz hai 'nājī'

bad-amal jā.eñge saqar taraf

Top Urdushayar.com