kamar  kī  baat  sunte  haiñ  ye  kuchh  paa.ī  nahīñ  jaatī
kahe  haiñ  baat  aisī  ḳhayāl  meñ  mere  nahīñ  aatī
jo  chāho  sair-e-dariyā  vaqf  hai  mujh  chashm  kī  kashtī
har  ek  mū-e-palak  merā  hai  goyā  ghaaT  ḳhairātī
ba-rañg  us  ke  nahīñ  mahbūb  dil  rone  ko  āshiq  ke
sa.ādat  ḳhaañ  hai  laḌkā  vaz.a  kar  letā  hai  barsātī
jo  koī  aslī  hai  ThanDā  garm  yāqūtī  meñ  kyūñkar  ho
na  laave  taab  tere  lab  kī  jo  nāmard  hai  zaatī
na  dekhā  baaġh  meñ  nargis  niiñ  tujh  kuuñ  sharm  jaane  siiñ
isī  ġham  meñ  huī  hai  sar-nigūñ  vo  vaqt  nahīñ  paatī
kahāñ  mumkin  hai  'nājī'  sā  ki  taqvā  aur  salāh  aave
nigāh-e-mast-e-ḳhūbāñ  vo  nahīñ  letā  ḳharābātī