aisī  mushkil  meñ  na  jaañ  thī  pahle
ziist  kab  itnī  garāñ  thī  pahle
āsmāñ  thā  na  zamīñ  thī  koī
kā.enāt  ek  dhuāñ  thī  pahle
dhuup  bahrūp  pighaltā  sonā
chāñdnī  āb-e-ravāñ  thī  pahle
ek  maḳhsūs  samā.at  sab  kī
ek  mānūs  zabāñ  thī  pahle
qatl  ke  kab  the  ye  saare  sāmāñ
ek  tiir  ek  kamāñ  thī  pahle
ye  jo  bijlī  sī  chamak  jaatī  hai
saat  pardoñ  meñ  nihāñ  thī  pahle
is  jagah  bañk  nahīñ  hotā  thā
ik  kitāboñ  kī  dukāñ  thī  pahle
kuchh  to  raste  the  sitāroñ  aise
kuchh  tabī.at  bhī  ravāñ  thī  pahle
phuul  hī  phuul  khilā  karte  the
mujh  meñ  ye  aag  kahāñ  thī  pahle
zaḳhm  dīvār  batātā  hai  'munīr'
ek  tasvīr  yahāñ  thī  pahle