kis  manzar  meñ  kaise  manzar  ug  aate  haiñ
ḳhvāb  ugānā  chāhūñ  patthar  ug  aate  haiñ
ye  nā-mumkin  hai  phir  bhī  lagtā  hai  jaise
qaid  meñ  vaqt  se  pahle  hī  par  ug  aate  haiñ
mausam  kā  e.ajāz  hai  yā  jaadū  hai  koī
rātoñ-rāt  daraḳhtoñ  par  ghar  ug  aate  haiñ
puure  chāñd  kī  raat  samundar  narm  havā.eñ
sat.h-e-āb  pe  kyā  kyā  paikar  ug  aate  haiñ
ishq  meñ  qāmat  kā  yuuñ  dhyān  rakhā  jaatā  hai
gardan  kaT  jaatī  hai  to  sar  ug  aate  haiñ
us  ke  naam  kā  naqqārā  bajte  hī  'saifī'
chāroñ-jānib  dard  ke  lashkar  ug  aate  haiñ