vahī  manāzir  vahī  musāfir  vahī  sadā  kā  jaada  thā
jab  uftād  paḌī  thī  mujh  se  maiñ  hī  duur  uftāda  thā
ek  ummīd-o-bīm  ke  aalam  meñ  bastī  dam  sādhe  thī
aur  havā  ke  tevar  the  paanī  kā  aur  irāda  thā
sūraj  bhī  pahne  the  maiñ  ne  aur  taare  bhī  oḌhe  the
din  meñ  aur  mirā  pairāhan  shab  meñ  aur  labāda  thā
us  ne  mujh  ko  dariyā  kar  Daalā  ye  us  kī  azmat  hai
maiñ  to  qatre  kī  sūrat  bhī  rahne  par  āmāda  thā
gaThḌī  sar  se  kyā  utrī  maiñ  apnī  chaal  hī  bhuul  gayā
tan  kar  chaltā  thā  maiñ  jab  tak  sar  par  bojh  ziyāda  thā
par  ik  roz  mirā  beTā  merī  masnad  par  aa  baiThā
jab  tak  merī  maañ  zinda  thī  maiñ  ghar  meñ  shahzāda  thā
ab  'saifī'  kī  bātoñ  meñ  vo  pahle  jaisī  baat  kahāñ
shahr  meñ  aane  se  pahle  ye  shaḳhs  nihāyat  saada  thā