lahū  kā  zā.iqa  hī  jab  zabān  tak  na  gayā
to  kyā  ajab  hai  jo  zaḳhmoñ  pe  dhyān  tak  na  gayā
vo  ek  vahm  jo  sarmāya-e-faqīrī  thā
yaqīñ  meñ  is  tarah  badlā  gumān  tak  na  gayā
badal  ga.ī  kahīñ  raste  meñ  kīmiyā  us  kī
uThā  ġhubār  magar  āsmān  tak  na  gayā
anā-parast  the  aise  badan  to  phir  hai  badan
hamārā  saaya  kabhī  sā.ebān  tak  na  gayā
batā  ke  rah  ga.e  sab  dāv-pech  sāhil  se
havā  ke  saath  koī  bādbān  tak  na  gayā
ḳhudā  kā  shukr  ki  mere  hī  jurm  kaafī  the
faqīh-e-shahr  mire  ḳhāndān  tak  na  gayā
hamāre  tiir  chhupā.e  nahīñ  ga.e  the  'munīr'
hamārā  haat  hī  apnī  kamān  tak  na  gayā