maiñ  nahīñ  thā  ratjagoñ  meñ  kaun  thā  mere  sivā
saath  mere  vahshatoñ  meñ  kaun  thā  mere  sivā
ik  zamāne  meñ  huā  kartā  hai  gautam  ek  hī
dūsrā  phir  jañgaloñ  meñ  kaun  thā  mere  sivā
haat  vo  kis  ke  the  jo  mere  gale  tak  aa  ga.e
mere  jaisā  dostoñ  meñ  kaun  thā  mere  sivā
tum  to  ḳhud  apnī  tajallī  hī  meñ  the  kho.e  hue
aks-dar-aks  ā.inoñ  meñ  kaun  thā  mere  sivā
kis  ne  mere  naam  par  apnī  siyāhī  pher  dī
mujh  se  pahle  madrasoñ  meñ  kaun  thā  mere  sivā
kaun  uksātā  rahā  thā  sher-goī  par  mujhe
maujzan  merī  ragoñ  meñ  kaun  thā  mere  sivā
paas  aate  mausamoñ  meñ  kaun  thā  mahv-e-ḳhirām
duur  hotī  āhaToñ  meñ  kaun  thā  mere  sivā
maiñ  to  lab-basta  thā  phir  vo  chīḳh  kaisī  thī  'munīr'
raat  merī  Thokaroñ  meñ  kaun  thā  mere  sivā