yuuñ  to  kyā  kyā  log  chhupe  the  darvāzoñ  ke  pīchhe
maiñ  hī  bas  uḌtā  rahtā  thā  āvāzoñ  ke  pīchhe
ḳhuun  kā  ik  qatra  varna  phir  maut  kā  nashsha  hogā
par  aisī  shai  kab  hotī  hai  parvāzoñ  ke  pīchhe
vo  to  log  banā  dete  haiñ  pur-asrār  fazā  ko
aksar  koī  raaz  nahīñ  hotā  rāzoñ  ke  pīchhe
mausīqār  ke  bas  meñ  kab  hai  lai  ko  lau  meñ  Dhāle
ek  an-dekhā  haat  bhī  hotā  hai  sāzoñ  ke  pīchhe
phir  to  apne  ḳhuun  meñ  tair  ke  paar  utarnā  hogā
talvāroñ  kī  fasl  ho  jab  tīr-andāzoñ  ke  pīchhe
tamġha  pension  beva  bachche  māyūsī  tanhā.ī
ek  kahānī  rah  jaatī  hai  jāñ-bāzoñ  ke  pīchhe
ab  to  har  chaukhaT  par  māthā  Tek  rahe  ho  'saifī'
aur  agar  dīvāreñ  nikleñ  darvāzoñ  ke  pīchhe