āvāz  de  ke  ḳhud  ko  bulānā  paḌā  mujhe
apnī  madad  ko  aap  hī  aanā  paḌā  mujhe
mujh  se  tumhāre  aks  ko  kartā  thā  bad-gumāñ
ā.īna  darmiyāñ  se  haTānā  paḌā  mujhe
phir  is  ke  ba.ad  jur.at-e-girya  nahīñ  huī
ik  ashk  ḳhaak  se  jo  uThānā  paḌā  mujhe
phir  yuuñ  huā  ki  jhuuT  kī  aadat  sī  ho  ga.ī
phir  yuuñ  huā  ki  sach  ko  chhupānā  paḌā  mujhe
paanī  qubūl  hī  nahīñ  kartā  thā  merī  laash
dariyā  ko  apnā  naam  batānā  paḌā  mujhe
mehmān  aa  gayā  thā  so  khāne  kī  mez  par
jaltā  huā  charāġh  bujhānā  paḌā  mujhe
dhartī  ke  zarf  kā  huā  andāza  jab  'munīr'
kuchh  roz  apnā  bojh  uThānā  paḌā  mujhe