Akhtar Hoshiyarpuri

baja ki dushman-e-jaan shahr-e-jaan ke bahar hai

Akhtar Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1918-2007

bajā ki dushman-e-jāñ shahr-e-jāñ ke bāhar hai

magar maiñ us ko kahūñ kyā jo ghar ke andar hai

tamām naqsh parindoñ tarah utre haiñ

ki kāġhazoñ pe khile pāniyoñ manzar hai

maiñ ek shaḳhs jo kumboñ meñ rah gayā baT kar

maiñ musht-e-ḳhāk jo taqsīm ho ke be-ghar hai

shajar kaTā to koī ghoñsla kahīñ na rahā

magar ik uḌtā parinda fazā zevar hai

vo ḳhauf hai ki makīñ apne apne kamroñ meñ haiñ

vo haal hai ki bayābāñ meñ vus.at-e-dar hai

kahīñ bhī peḌ nahīñ phir bhī patthar aa.e haiñ

galī meñ koī nahīñ phir bhī shor-e-mahshar hai

maiñ is vasī.a jazīre meñ vāhid insāñ huuñ

ki mere chāroñ taraf dasht samundar hai

koī bhī ḳhvāb na ūñchī fasīl se utrā

magar kiran ke guzarne ko rauzan-e-dar hai

tamām raushaniyāñ bujh ga.ī haiñ bastī meñ

magar vo diip ki jis havāoñ meñ ghar hai

kisī se mujh ko gila kyā ki kuchh kahūñ 'aḳhtar'

ki merī zaat ḳhud rāste patthar hai

Top Urdushayar.com