bane ye zahr hī vaj.h-e-shifā jo tū chāhe
ḳharīd luuñ maiñ ye naqlī davā jo tū chāhe
ye zard pañkhḌiyāñ jin par ki harf harf huuñ maiñ
havā-e-shām meñ mahkeñ zarā jo tū chāhe
tujhe to ilm hai kyuuñ maiñ ne is tarah chāhā
jo tū ne yuuñ nahīñ chāhā to kyā jo tū chāhe
jab ek saañs ghuse saath ek note pise
nizām-e-zar kī hasīñ āsiyā jo tū chāhe
bas ik tirī hī shikam-ser ruuh hai āzād
ab ai asīr-e-kamand-e-havā jo tū chāhe
zarā shikoh-e-do-ālam ke gumbadoñ meñ laraz
phir us ke ba.ad terā faisla jo tū chāhe
salām un pe tah-e-teġh bhī jinhoñ ne kahā
jo terā hukm jo terī razā jo tū chāhe
jo tere baaġh meñ mazdūriyāñ kareñ 'amjad'
khileñ vo phuul bhī ik martaba jo tū chāhe