junūn-e-ishq  kī  rasm-e-ajīb  kyā  kahnā
maiñ  un  se  duur  vo  mere  qarīb  kyā  kahnā
ye  tīragi-e-musalsal  meñ  ek  vaqfa-e-nūr
ye  zindagī  kā  tilism-e-ajīb  kyā  kahnā
jo  tum  ho  barq-e-nasheman  to  maiñ  nasheman-e-barq
ulajh  paḌe  haiñ  hamāre  nasīb  kyā  kahnā
hujūm-e-rañg  farāvāñ  sahī  magar  phir  bhī
bahār  nauha-e-sad  andalīb  kyā  kahnā
hazār  qāfila-e-zindagī  kī  tīra-shabī
ye  raushnī  sī  ufuq  ke  qarīb  kyā  kahnā
laraz  ga.ī  tirī  lau  mere  Dagmagāne  se
charāġh-e-gosha-e-kū-e-habīb  kyā  kahnā