chehra  udaas  udaas  thā  mailā  libās  thā
kyā  din  the  jab  ḳhayāl-e-tamannā  libās  thā
uryāñ  zamāna-gīr  sharar-gūñ  jibillateñ
kuchh  thā  to  ek  barg-e-dil  un  kā  libās  thā
us  moḌ  par  abhī  jise  dekhā  hai  kaun  thā
sambhalī  huī  nigāh  thī  saada  libās  thā
yādoñ  ke  dhuñdle  des  khilī  chāñdnī  meñ  raat
terā  sukūt  kis  kī  sadā  kā  libās  thā
aise  bhī  log  haiñ  jinheñ  parkhā  to  un  kī  ruuh
be-pairahan  thī  jism  sarāpā  libās  thā
sadiyoñ  ke  ghaaT  par  bhare  meloñ  kī  bhiiḌ  meñ
ai  dard-e-shādmāñ  tirā  kyā  kyā  libās  thā
dekhā  to  dil  ke  sāmne  sāyoñ  ke  jashn  meñ
har  aks-e-ārzū  kā  anokhā  libās  thā
'amjad'  qabā-e-shah  thī  ki  cholā  faqīr  kā
har  bhes  meñ  zamīr  kā  pardā  libās  thā