ye  kis  ke  āsmāñ  kī  hadoñ  meñ  chhupā  huuñ  maiñ
apnī  zamīñ  se  uTh  ke  kahāñ  aa  gayā  huuñ  maiñ
bādal  meñ  chhup  gayā  hai  jo  sūraj  tū  hī  to  thā
jo  jal  rahā  hai  ghar  meñ  vo  raushan  diyā  huuñ  maiñ
jā.egā  tū  jahāñ  bhī  rahūñgā  maiñ  tere  saath
tū  abr-e-be-niyāz  to  bahtī  havā  huuñ  maiñ
rah  kar  bhī  har  maqām  pe  dikhtā  nahīñ  hai  kyuuñ
kab  ḳhud  ko  apne-āp  meñ  āḳhir  milā  huuñ  maiñ
tere  azal  abad  ke  kināroñ  ke  darmiyāñ
kartī  hai  bāzgasht  jo  aisī  sadā  huuñ  maiñ
phir  yuuñ  huā  ki  raushnī  had  se  sivā  huī
ḳhurshīd-e-zau-fishār  thā  dekho  bujhā  huuñ  maiñ
hotā  zafar  qarār  jo  nashtar  nahīñ  huā
'jāved'  dasht-e-sher  meñ  be-dast-o-pā  huuñ  maiñ