zaḳhm  agar  gul  hai  to  phir  us  kā  samar  bhī  hogā
hijr  kī  raat  meñ  poshīda  qamar  bhī  hogā
hausla  daad  ke  qābil  hai  yaqīnan  us  kā
us  ko  ma.alūm  thā  dariyā  meñ  bhañvar  bhī  hogā
kaun  suntā  hai  yahāñ  past-sadā.ī  itnī
tum  agar  chīḳh  ke  bolo  to  asar  bhī  hogā
kuchh  na  kuchh  raḳht-e-safar  paas  bachā  kar  rakhnā
ik  safar  aur  pas-e-ḳhatm-e-safar  bhī  hogā
mutma.in  rahiye  yūñhī  ḳhud  ko  tasallī  diije
yahī  jiinā  yahī  jiine  kā  hunar  bhī  hogā
umr  guzrī  hai  isī  ek  tamannā  meñ  'nadīm'
mujh  se  be-ghar  kā  kahīñ  shahr  meñ  ghar  bhī  hogā