kāġhaz  kī  naav  kyā  huī  dariyā  kidhar  gayā
bachpan  ko  jo  milā  thā  vo  lamha  kidhar  gayā
ma.adūm  sab  huiiñ  vo  tajassus  kī  bijliyāñ
hairat  meñ  Daal  de  vo  tamāshā  kidhar  gayā
phir  yuuñ  huā  ki  log  mashīnoñ  meñ  Dhal  ga.e
vo  dost  lab  pe  le  ke  dilāsa  kidhar  gayā
kyā  dasht-e-jāñ  kī  soḳhta-hālī  kaheñ  ise
chāhat  meñ  chāñd  chhūne  kā  jazba  kidhar  gayā
tārīkiyāñ  haiñ  saath  mire  aur  safar  mudām
kal  tak  thā  ham-qadam  jo  farishta  kidhar  gayā
jo  rahnumā  the  mere  kahāñ  haiñ  vo  naqsh-e-pā
manzil  pe  chhoḌtā  thā  jo  rasta  kidhar  gayā