us  ke  apne  darmiyāñ  istāda  ik  dīvār  maiñ
ek  dasht-e-shādmānī  us  meñ  ik  āzār  maiñ
maiñ  nahīñ  thā  tū  hī  thā  aalam  meñ  lekin  tere  ba.ad
ai  ḳhudā-e-izz-o-jal  terā  huā  iz.hār  maiñ
sham.a  se  hai  nuur  jaisā  terā  merā  insilāk
varna  tū  bahtī  havā  hai  phuul  kī  mahkār  maiñ
baḳht  kī  sāzish  kahūñ  yā  phir  mashiyyat  ġhaib  kī
tīr-zan  koī  bhī  ho  lekin  hadaf  har  baar  maiñ
kal  talak  us  kā  rahā  thā  dil  ko  mere  ishtiyāq
aaj  vo  nazdīk  hai  par  us  se  huuñ  bezār  maiñ
ik  na  ik  din  to  musaḳhḳhar  us  ko  honā  hai  'nadīm'
vo  ḳhalāoñ  kā  makīñ  hai  nuur  kī  raftār  maiñ