agar  in  bāzūoñ  meñ  dam  nahīñ  hai
to  gulshan  bhī  qafas  se  kam  nahīñ  hai
mire  sāz-e-junūñ  ke  chheḌne  ko
kalī  kā  ik  tabassum  kam  nahīñ  hai
mujhe  duniyā  mire  aalam  meñ  dekhe
har-ik  aalam  mirā  aalam  nahīñ  hai
na  de  mujh  ko  fareb-e-ishq  duniyā
fareb-e-zindagī  kuchh  kam  nahīñ  hai
ġham-e-tauhīn-e-mai-ḳhāna  hai  'shārib'
mujhe  tishna-labī  kā  ġham  nahīñ  hai