hoñToñ  pe  qarz-e-harf-e-vafā  umr  bhar  rahā
maqrūz  thā  so  chup  kī  sadā  umr  bhar  rahā
kuchh  darguzar  kī  un  ko  bhī  aadat  na  thī  kabhī
kuchh  maiñ  bhī  apnī  zid  pe  uḌā  umr  bhar  rahā
vo  tajrabe  hue  ki  mire  ḳhuuñ  kī  ḳhair  ho
yaaro  maiñ  apne  ghar  se  judā  umr  bhar  rahā
mausam  kā  habs  shab  kī  siyāhī  fasīl-e-shahr
mujrim  thā  sar  jhukā.e  khaḌā  umr  bhar  rahā
sub.h  o  masā  kī  gardish-e-paiham  ke  bāvajūd
maiñ  darmiyān-e-sub.h-o-masā  umr  bhar  rahā
in  bārishoñ  meñ  kaun  bahe  ḳhār-o-ḳhas  ke  saath
sūraj  kī  le  ke  sar  pe  ridā  umr  bhar  rahā
hāthoñ  se  oT  kī  to  sabhī  uñgliyāñ  jalīñ
phir  bhī  havā  kī  zad  pe  diyā  umr  bhar  rahā
ik  ḳhuun  kī  ḳhalīj  mire  sāmne  rahī
aur  mere  pīchhe  saaya  mirā  umr  bhar  rahā
'aḳhtar'  ye  jañgaloñ  meñ  usī  ke  nishān  haiñ
jo  ḳhaar  ḳhaar  ābla-pā  umr  bhar  rahā