ḳhud-baḳhud  ālam-e-dil  zer-o-zabar  hotā  hai
nīchī  nazroñ  meñ  qayāmat  kā  asar  hotā  hai
diid  kyā  chiiz  hai  jalvoñ  meñ  nazar  kho  jaanā
varna  jalva  kahīñ  pāband-e-nazar  hotā  hai
ahl-e-himmat  ke  qadam  is  se  alag  uThte  haiñ
ruḳh  zamāne  kī  havāoñ  kā  jidhar  hotā  hai
terī  duniyā  meñ  kahīñ  par  bhī  karūñ  maiñ  sajda
terā  jalva  to  mire  pesh-e-nazar  hotā  hai
shart  hai  dard  meñ  Duubā  huā  afsāna  ho
dil  to  kyā  chiiz  hai  patthar  pe  asar  hotā  hai
jab  uThātā  huuñ  qadam  rāh-e-adab  meñ  'shārib'
mere  hamrāh  mirā  zauq-e-nazar  hotā  hai