Sharib Lakhnavi

hum pe rakhe gae ilzam na jaane kya kya

Sharib Lakhnavi

ham pe rakhe ga.e ilzām na jaane kyā kyā
ban ga.e ek mohabbat ke fasāne kyā kyā
manzil-e-dār-o-rasan qaid-e-sitam dasht-e-balā
paa.e haiñ ahl-e-mohabbat ne Thikāne kyā kyā
koī andāz-e-nadāmat koī naala koī ashk
DhūñDe haiñ chashm-e-karam tū ne bahāne kyā kyā
kabhī āñdhī kabhī tūfāñ kabhī sho.ale kabhī barq
mere gulshan pe bhī guzre haiñ zamāne kyā kyā
daulat sabr-o-sukūñ gauhar-e-ashk-e-rañgīñ
ham ne ġhurbat meñ luTā.e ḳhazāne kyā kyā
nazar-e-ahl-e-mohabbat hī samajh saktī hai
lab-e-ḳhāmosh pe hote haiñ fasāne kyā kyā
ab mire sāmne jab koī gale miltā hai
khiñch ke aa jaate haiñ āñkhoñ meñ zamāne kyā kiyā
kabhī kaliyoñ kā tabassum kabhī tāroñ kī chamak
dil taḌapne ke bhī hote haiñ bahāne kyā kyā
kabhī halkā sā tabassum kabhī chīñpī sī nazar
ham se pūchho ki lage dil pe nishāne kyā kyā
ham ḳhatā-kār-e-mohabbat haiñ ye ham se pūchho
husn-e-ma.asūm ko aate haiñ bahāne kyā kyā
an-ginat roz ḳhayāloñ ke mahal bante haiñ
sochtā hai dil-e-betāb na jaane kyā kyā
koī 'shārib' koī 'mullā' koī 'ġhālib' koī 'mīr'
manzil-e-ishq se guzre haiñ divāne kyā kyā
Top Urdushayar.com