zikr-e-bahār  bhī  rahā  zikr-e-ḳhizāñ  ke  saath
terī  bhī  dāstāñ  hai  mirī  dāstāñ  ke  saath
un  kā  bhī  kuchh  ḳhayāl  rahe  ahl-e-kārvāñ
jo  aa  rahe  haiñ  gard-e-rah-e-kārvāñ  ke  saath
us  vaqt  rañg  lā.egā  afsāna-e-vafā
dil  kā  lahū  jab  aa.egā  ashk-e-ravāñ  ke  saath
har  chiiz  ajnabī  sī  hai  har  shaḳhs  ġhair  hai
duniyā  badal  ga.ī  nigah-e-mehrbāñ  ke  saath
'shārib'  ye  jāntā  huuñ  ki  duniyā  hai  bevafā
chalnā  paḌegā  phir  bhī  isī  kārvāñ  ke  saath