dāstāñ  kah  ke  pareshāñ  dil-e-nākām  na  ho
is  ḳhamoshī  meñ  bhī  pinhāñ  koī  paiġhām  na  ho
ishq  meñ  bhī  hai  taqāzā  mirī  ḳhuddārī  kā
jo  mire  dil  ko  milī  hai  vo  ḳhalish-e-ām  na  ho
māñgne  hī  kā  tarīqa  nahīñ  aatā  ham  ko
ġhair-mumkin  hai  tirī  chashm-e-karam  aam  na  ho
phuul  ke  saa.e  meñ  kāñToñ  ko  bhī  rahne  diije
sub.h  kī  qadr  na  kī  jaa.e  agar  shaam  na  ho
had  se  jo  chiiz  bhī  baḌhtī  hai  badal  jaatī  hai
kis  tarah  merī  vafāoñ  kā  junūñ  naam  na  ho
aaj  kyuuñ  haath  tire  kaañp  rahe  haiñ  saaqī
dekh  to  ḳhuun  ġharīboñ  kā  tah-e-jām  na  ho
kaun  aisā  hai  jo  duniyā  kī  zabāñ  ko  roke
maiñ  ne  maanā  ki  mire  lab  pe  tirā  naam  na  ho
jalva-e-husn  numāyāñ  hai  har  ik  zarre  se
kyā  kiyā  jaa.e  agar  zauq-e-nazar  aam  na  ho
kār-e-duniyā  meñ  lage  rahte  haiñ  ham  ai  'shārib'
shā.irī  us  ke  liye  hai  jise  kuchh  kaam  na  ho